Tuesday, May 5, 2009

A memorable chat.........


Nishi : Vibhooti aapke es manmohak uphar k liye Jyoti evam Nishant ki or se dhanyavad swikar karen....
Anya mitragano,
Aap logon se vartalaap kiye hue sadiyan beet gayi hain,
kripya es mauke ka laabh uthayen aur apne kushal mangal hone ki suchna deven....
Sdhanyavad I
Prarthi
Aapka apna param priy mitra
Nishant


Snehal : thanks vibhu... havent check pictures yet.. will do it in evening :)
Nishant Bhrata/jijaji... aap kaise hai?? aur bhabhi ji/jiji kaisi hai :P
mai yahan par khusal mangal hu ......
kaafi akela lagta hai yahan pe.... boriyat si ho rahi hai
aapke pass kuch upay hai kya ??
aapne tho kafi samay bitaya hai us me, kuch gayan dijiye mujhe bhi

Nagu : Putri...

hamne tumharri prartana sun li hain..

roh bhagavat gita sunna karo...jindagi ke sab dukh dard kho jayengein...

waise yahan boriyana aam bath hain...isliyen ho sake tho
dhumrapan...nahin tho madirapan kiya karo...jindagi rangeen lagegi aur
roj rangoli dikhegi...

waise agar inme man nahin hain tho...then doorbashi yantr mein
chlachitr ka anand uttayein..

iss se bheen agar kuch nahin huan tho aas pass talab mein dubakki lagga lein...

gyan batane hetu sansar mein vikyat..

baba nagendra ....

Tanu : Thanks a lot Vibhu. Koi to samajhdaar hain yahan.

sabhi nav vivahit jodiyan
ab aapki baari hain. kripaya apni shaadi ki poori album jald se jald share kare.
yahan bhi sab kushal mangal hain.....

ek samachaar yeh hain ki, Gaurav Sir ki shaadi thi kal (28th April), raipur mein
bas aajke liye itna hi :)


Snehal : babaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa......
aapne tho meri aakhen khol di ... mai kahan vyarath me apna samay barbad kar rahi thi
aapke gyan k sahare ab ye shishiya pragati k marg par badhti chalegi aur kabhi boriyat ki shikayat nahi karegi bass yahi aasha hai .... mai tho soch rahi hu baba ki mai bhi ab aapke jaise logo ka kalyan karne me jeevan beeta du ;))
tanuja beta aapko kahan kahan se sari news pata chalti hai.....
sahi hai agar sir se baat hoti hai tho hum dono ki subhkamanaye unn tak pahucha dijiyega

Nagu : Yeh pravachan ke beech mein TNN (tanuja national netwotk) news kahan se aa gayan

putri tanu...kabhie jindgai mein moksha and karm ki bathein kar liyan karo...


waise humne tumhaari shaadi ki album aaj tak nahin dekhi...

krupya upload karein and sabka comments le....


karm heen kartavya hain...
Nagendra

Jyo : babaji aapki shaadi ho jaane dijiye .. fir dekhiyega aapke saare sur hi badal jayenge :P

Tanu : nagendra ji,
kripaya aap mithya vachan naa bole
aapki yaadaasht thodi kamjor ho gayi hain, yeh prateet hota hain
hum aapko shaadi ki album bahut pehle dikha chuke hain....

haan aur kuch aagya ho to zarur bataiyega :)

sakhi snehal :)
hamari baatein hoti rehti hain Gaurav Sir se.....
unki shaadi Hotel Piccadily mein hui thi :)
hum aapki shubkaamnaayein pahucha denge :)......aap nishchint rahiye

Jyo : Nagu Baba ki jaiiiiiiiiiiiiiiiii.....................................

Nishi :


Hamare "Golamaal" TV ki samvad-data Tanuja ji ke es sansani khej khulase ke liye hum shukrguzar hain....
Jaise ki aapne sun hi liya ki Gaurav ki shaadi ko chuki, darshak jinhe nahi pata Gaurav sir kon hain unke liye vishes soochna...
Pahchan lijiye es shaks ko..
ye vahi shaks hain jise khud basic electronics nahi aata aur electronics guru hone ka dhong rachta hain...
ye vahi shaks hain, jisne kisi samay 44 massom computer science chatron ke bhavishya ko andharmay kar diya tha..
ye vahi shaks hain jise kaksha main aadhyapan karne ki apeksha, chattraon pe dore daalna jyada pasand hain...
pahchan lijiye es sakhs ko, jo ki adhiktar ek purani si topi pahne hue dikhayi deta hain... ye shaks chasma lagata hain aur Baja boxer bhi chalata hain...
iski bholi surat pe mat jaayega, es bholi si shakl ke peeche chupa hua hain ek aisa insaan jisne kabhi bhi apne chatron ko aache sessional marks nahi diye hain....
aur isi tarah ke sansani khej khulason k liye sunte aur padte rahiye "Golmaal" TV..
Namaskar!!!
Jyo : Hahahhaahahahhaaaa.....................................
piyush : सभी मित्रो और सखियों को हमारा स्नेह और परम पूज्य भाभियों को सादर चरण स्पर्श,

निम्न वार्तालाप को देख कर ऐसा सुखद एहसास होता है की आजकल प्रजा हिंदी भाषा का भरपूर उपयोग करने में सम्मानअनुभव करती है. यह हम सभी भारत्वर्शियों के लिए एक गर्व का विषय है. !!!
सुदूर देशों में निवास करने वाले अप्रवासी भारतियों से ऐसा वार्तालाप सुनकर ह्रदय भावविभोर हो उठा...सुबक सुबक. ...
बाबा नागदेव, आप अपने विवाह का शुभ समाचार सुनाकर, नाग- द्वीप के सभी नाग नागिनों को कब उल्लास का अवसर देंगेआशा करता हूँ की अब तक आपने "यु अस" देश की साडी ट्रेनों में खोज कर ली होंगी और कुछ नव-यौवनाएं भीआपको भा गयी होंगी ..कृपया सुभ समाचार जल्दी सुनाएं अथवा बाबा रामदेव की शरण में चले जाएं....

सभी विवाहित महिलाओं से ये आदरपूर्वक निवेदन है की बाबा नागदेव के बोल-वचनों में न फसें और अपनी विवेक से काम लें, अपने कार्य में भरपूर मन लगायें एवं अपने अपने क्षेत्रों की सूचनाएं प्रसारित करते रहे....
अन्य बालक बालिकाओं से भी यही अनुरोध करता हूँ...

आप सभी की सेवा में ,
पियूष...
???
Vibhu : अब्बर बने !
मोला एकदम मस्त लागिस
सब झहन गोठियाथे था मन लगे रहिथे :)
में औ पारुल बने बने हवं
और में तरिया में डूबकी लगाये बार जाथाव
पारुल घलो ऐरोबिक करे बार जाते
औ हम मन भात दाल ताको रंद्हत हवं

सब्बो नोनी मन मन लगा के काम करो
औ दूर देस माँ पिहू खाहु मत

:)
विभूति
Ruchi : i have to start the mail like this...
hahahahahhaha

yaar main office mein baithkar zor zor se hans rahi hoon :)
mazzzzaaaa aa gaya mail padhkar..
tum sab logo mein main hi ek fake bhartiya hoon aisa prateet hota hai :(
main itni spashta hindi ka upyog hi nahi kar pa rahi hoon :(
but i am amazed by your rashtra bhasha skills :)

please aise mails likhte raha karo beech beech mein..
its so nice to get mails from frends :)
take care all of u..

Love,
Ruchi


Jyo : Awesome Vibhu....... hehehehehhehee
tariya me dubki lagaye bar jathav...hahahhahahahahahaha

Nishi : Sabhu sangvari man la ram ram,
tumanman ke mail la padh k mola khub bane laagis...
mujhe chattisgadhi bhasa main maharat haashil nahi hain, isliye agar divitiye pankti main kuch truti hui hain ho, to main shamaprarthi hun...
mitrajano, tumhare aise vachano ko sun ke, man santript ho utha hain...
aap logon ke yantrikiye sandesh (e-mail) padh kar bahut hi aanand ka anubhav ho raha hain,
aaplogon k kushal mangal hone ki soochna milte hi mere vichlit man ko aatyadhik shaanti prapt hui hain
Nagu baba su-vachon ko sun k mera vairagya ka aant ho gaya hain..
sabhi mitron ko sahi disha main maargdarshan karne ke likh bahut bahut dhanyavaad..
Snehal sakhi aasha hain ki aapke chitna ka nivaran ho gaya hoga, avam Nagendra baba ne jo samadha aapke liye prastut kiya hain uspe aap jaroor amal karengi....
ek baar phir se Nagu baba ki jai ho... Nagu baba sabka mangal karen....
Sumvad-data evam sakhi Tanuja aapse hum apeksha rakhte hain ki, aap apne daampatya jivan main kadam rakhne vaali achal tasviron ka aadan - pradan jaroor karengi...
bhrata piyush humen apne kaaryastal pe devnagri lipi ka upyog nahi kar sakte, iskeliye humen khed hain...
Komalaangniyon Vibhu aur Parul, kripa atyadhik parishram kar apne aap ko vyarth ki pida main na daalen...
es vartalaap main maine kuch anya mitron ko bhi aamantrit kiya hain, jinke naam bhi es yantrikiye sandesh ke 'key liye' sthan' (To Field) main sanlagn hain...
aasha karta hun, anya mitragan bhi protashit hokar es yantrikiye vartalap main shaamil honge












4 comments:

  1. Hehhehehehe...I never knew about your blog.. And you posted this chain mail in blog thats really great.... Really this chain mail was awesome...

    ReplyDelete
  2. Ya Jyo ! This conversation was awesome and our Matheran Trip (In Pic) also !

    ReplyDelete
  3. Ha ha ha this was some total time pass mail ... but wo mail meri copyright thi Vasu .. tere blog se sab log padh lenge na hamari mails :)

    ReplyDelete
  4. @Neha - Nagu baba ke gyaan ki aur bhi bahut logo ko jaroorat hai. This knowledge is open to all, so use it and spread it :-)

    Nagu baba ki jai ! Nagu baba ki jai !!

    ReplyDelete

Followers